dekha unhe barso baad
meine pahchan liya,
murke dekha hasskar bola
kaise ho tum Priya?
jhuki nazre ruthi Priya
khamosh thhi woh zubaan,
fir bhi aankhon se aanson nikle
kitni barso ki yeh pahchan.
mausam mein bahar atte gaye
patjhar ne sab luta,
sapno ki mahfil sazayi thhi jo Priya ne
ek hi pal mein sab tuta.
berahemi se waqt ne tab
har rishte ko tora,
akeli Priya ussi diin se
tanhayi se nata jora.
faisla to dono kar chuke thhe pahle
anjaam se wakif hai aaj,
dewaar kuin ban gayi thhi dono mein
kahdo aaj sabko woh raaz.
haaskar bola aaj bhi tumse
shikayat mujhe mili hai,
ek bar to sunlo Priya
kiss bajah se yeh duuri hai?
aaj fir se wohi gam lekar
kuin Priya ruthe hum,
chhor do woh tanha vari baatien
kaho..kaise ho tum?
khush hu jaise pahle bhi thhi
koi badlao to humme nahi hai,
Priya ko chhora thha jiss more par tumne
aaj bhi Priya wohi hai.
par shikayat rahegi humesha dil mein
tumne mujhe na pahchana,
barso ki pahchan ke baad bhi hum
jeete rahe jaise anjaana.
nazre jhukarar Priya ne kahan
aaj fir se do bidayi,
pratiksha mein hai mera gam
aur bas meri tanhayi.
yuinhi dono fir se bichhre
shyam dhalne laga,
bitti hui yaadien unn badiyon mein
aur ekbaar gungunane laga....
No comments:
Post a Comment